Dil se teri nigah jigar tak utar gai
Donon ko ik ada mein razamand kar gai
Shaq ho gaya hai sina khusha lazzat-e-farag
Takleef-e-pardadari-e-zakhm-e-jigar gai
Wo bada-e-shabana ki saramastiyan kahan
Uthiye bas ab k lazzat-e-khwab-e-sahar gai
Urti phire hai khak meri ku-e-yar mein
Bare ab ai hawa, hawas-e-bal-o-par gai
Dekho to dil farebi-e-andaz-e-naqsh-e-pa
Mauj-e-khiram-e-yar bhi kya gul katar gai
Har bulahawas ne husn parasti shiar ki
Ab abaru-e-shewa-e-ahal-e- nazar gai
Nazzare ne bhi kam kiya wan naqab ka
Masti se har nigah tere rukh par bikhar gai
Farda-o-din ka tafarruqa yak bar mit gaya
Kal tum gae k ham pe qayamat guzar gai
Mara zamane ne ‘Asadullah khan” tumhen
Wo walwale kahan, wo jawani kidhar gai
~: Mirza Ghalib :~

