tumhārā hijr manā luuñ agar ijāzat ho
maiñ dil kisī se lagā luuñ agar ijāzat ho
tumhāre baad bhalā kyā haiñ vaada-o-paimāñ
bas apnā waqt gañvā luoñ agar ijāzat ho
tumhāre hijr kī shab-hā-e-kār meñ jānāñ
koī charāġh jalā luuñ agar ijāzat ho
junūñ vahī hai vahī maiñ magar hai shahr nayā
yahāñ bhī shor machā luuñ agar ijāzat ho
kise hai ḳhvāhish-e-marham-garī magar phir bhī
maiñ apne zaḳhm dikhā luuñ agar ijāzat ho
tumhārī yaad meñ jiine kī aarzū hai abhī
kuch apnā haal sambhālūñ agar ijāzat ho
Comments
Tags: By Jaun Eliya, Gumaan, Gumaan By Jaun Eliya, Jaun Eliya, poetry, urdu, urdu poetry