Dar khuor e qehr o ghazab jab koi hum sa na hua..
Bandagi mein bhi wo azada o khudbeen hain..ke hum..
Ulte phir aaye dar e kaaba agar waa na hua…
Sab ko maqbool hai dawa teri yaktaai ka..
Robarou koi but e aaina e seema na hua…
Kam nahi naazish e humnai chashm e khuban..
Tera beemar, bura kia hai, gar acha na hua…
Seene ka daagh hai wo nala ke lab tak na gaya..
Khaak ka rizq hai wo qatra ke darya na hua..
Naam ka mere hai jo dukh ke kisi ko na mila..
Kaam mein mere hai jo fitna ke barpa na hua…
Har bun e mou se dam e zikr na tapke khunanaab..
Hamza ka qissa hua, ishq ka charcha na hua…
Qatre mein dajla dikhai na de juzo mei kul..
Khel larkon ka hua, deeda e beena na hua…
Thi khabar garm ke Ghalib ke urenge purze..
Dekhne hum bhi gaye the pa tamasha na hua…
Comments
Tags: Ghalib, isaq, ishq, love, Mirza, mirza ghalib, poerty, poet
Interesting blog post
Wahh…..
I’ll add few more words…..
‘ hy khabar garm un k aany ki…
Aaj hi gar mei bori’ya na hu….”
.
#rock_star_kami of hassan abdal..
(Old)