Dil Hijr kay dard say Bojhul hay, ab aan milo to behtar hay
is baat say hum ko kya matlab, yah kaisay ho, yah kyunkar ho
Ik Bheek kay dono kasey hain, Ik pyas kay dono piysay hain,
Hum Khaiti hain, tum badal ho, hum nadya hain tum sagar ho
Yeh dil hay kay jaltay seenay may, ik dard ka phora alhar sa
Na Gupat rahay Na phoot bahay, koi marham ho koi nishtar ho
Hum sanjh samay ki chaya hain, Tum Chahrtay raat ka chandarma
Hum Jaatey hain tum aatay ho, Phir mail ki soorat kyunkar ho
Ab Husn ka rutba aali hay, ab Husn say Sehra Khali hay
Chal basti may banjara ban, Chal Nagri may saudagar ho
Ab Inshaji ko bulana kya, ab pyaar kay deep jalana kya
Jub dhoop aur chahya aik say hoon, Jub Din aur Raat barabar ho
~IBN-E-INSHA~
Comments
Tags: 'Dil, dard, Hijr, IBN-E-INSHA