Bhoola mein tera, mera nishaan
Saaya jo tujh se jura hai mujh se juda, Aye Khuda
Gar shikwa hai Gunnah
Ker ke hogaya mein fanaa
Bus tujh se maangu yeh duaa
Banda hun tera, tu bata.
Kia hun mein, kyun hun mein, Aisi Bala Hun
Ke na din hun na raat hun, baad-e-Saba hun
Ke mein teray  dil ka nishan hun
Han mein Abdul Qadir hoon, kyun mein Abdul Qadir hoon
Raah chaltay huey yeh kia se kiaa huaa
Chootta jo tera saath, mein khud hi raakh hua
Tu tou malik hay mera
Sunta hai sub hi ki tu sada
Bus tujh se hai yeh gilaaaa
Banda hun tera, tu bata.
Kia hun mein, kyun hun mein, raaz-e-Khuda hun
Ke mein wehshat-e-dar pe uljha khara hun,
Janay kitnay dilon ki dard-e-zuban hun
Han mein Abdul Qadir hoon, kyun mein Abdul Qadir hun
Haan mein martay martay roz jiya hun
Ke mein teri khudaayi ko jaan gaya hun
Ke yeh teri panaah hai ke soch raha hun
Haan mein Abdul Qadir hoon..
OST : Mein Abdul Qadir Hoon
Music, Lyrics, Guitars & Vocals: IftI
Recorded & Produced by: Waqar Ali
Drama Serial Director: Baber Javaid
Drama Producer: Asif Raza Mir & Baber Javaid
TV Channel: Hum TV
Comments
Tags: Abdul, Abdul Qadir, Alishba, Amna Shiekh, Asif Raza Mir, By Sarwat Nazir, Cast: Fahad Mustafa, Faisal Qureshi, hope, hum tv, islam, islamic novel, Jibran, Main Abdul Qadir Hoon, Main Abdul Qadir Hoon - Lyrics, Nazir, novel, Qadir, Saba Pervaiz, Sana., Sarwat, Sarwat Nazir, story, Tipu, tv show