Main Baghi Hoon
is daur k rasm riwajon se,
in takhton se inn tajon se,
jo zulm ki kokh se jante hain,
insani khoon se palte hain,
jo nafrat ki bunyadain hain
aur khooni khet ki khadein hain,
main baghi hoon main baghi hoon
jo chahe mujh pe zulm karo
wo jin k hont ki jambish se,
wo jin ki aankh ki larzish se,
qanoon badalte rehte hain,
aur mujhrim palte rehte hain,
in choroon k sardaron se
insaaf k pahre daron se
main baghi hoon main baghi hoon
jo chahe mujh pe zulm karo
Jo aurat ko nachwate hain,
Bazar ki jins banwate hain,
Phir is ki asmat k gham main,
Tehrikain bhi chalwate hain,
In zalim aur badkaron se
Bazaar k in mamaron se
MAIN BAGHI HON MAIN BAGHI HON
JO CHAHE MUJH PE ZULM KARO
Jo qoam k gham main rote hain,
Aur qoam ki dault dhote hain,
Wo mehlon main jo rehte hain,
Aur baat ghareeb ki kehte hain,
In dhoke baz luteron se
Sardarun aur waderon se
MAIN BAGHI HON MAIN BAGHI HON
JO CHAHE MUJH PE ZULM KARO
JAHAN SANSOON PE TAZERAIN HAIN,
JAHAN BIGRI HOI TAQDERAIN HAIN,
ZATOON K GORAKH DHANDE HAIN,
JHAN NAFRAT K YE PHNDE HAIN,
SOCHON KI AESI PSTI SE
IS ZULM KI GANDI BSTI SE
MAIN BAGHI HON MAIN BAGHI HON
JO CHAHE MUJH PE ZULM KARO
mazhab k jo byopari hain,
wo sab se bari bemari hain,
wo jin k siwa sab kafir hain,
jo deen ka harf-e-akhir hain,
in jhute aur makkaron se
mazhab k thekedaron se
main baghi hoon main baghi hoon
jo chahe mujh pe zulm karo
mere hath main haq ka jhanda hai,
mere sir pe zulm ka phanda hai,
main marne se kab darta hoon,
main moat ki khatir zinda hoon,
mere khoon ka suraj chamke ga
to bacha bacha bole ga
main baghi hoon, main baghi hoon
jo chahe mujh pe zulm karo
Poem By : Dr. Khalid Javed Jan
Comments
Tags: aag, baghi, BNN, bnn news, Dr. Khalid Javed Jan's poem, flag, freedom, geo, hope, justice, Main Baghi Hoon, man holding pakistan flag, Pakistan, pakistani flag, poem, poetry, Revolution, revolutionary poetry
I love it !!
main baghi hoon !!!