Ghar Fatima Zehra Ka Ajab Shan Ka Ghar Hai

Share

Ghar Fatima zehra ka ajab shan ka ghar hai
Ye wahi ki manzil hai ye quran ka ghar hai
Islam ke mahol may eman ka ghar hai
Momin ki munafiq ki ye pehchan ka ghar hai

Kuch log marejate hai is ranjo mehan mein
Is ghar ka jo darwaza hai masjid ke sehan mein

Allah ne is ghar ko nabuwat se nawaza
Dunya may ise deeno shariyat se nawaza
Ismat se imamat se wilayat se nawaza
Har fard ko quran ki aayat se nawaza

Saanche may mashiyat ke ye afraad dhale hain
Sab chadare tatheer ke saaye may pale hain

Ye azm ke faulaad isi ghar may milenge
Ye noor ke ajsaad isi ghar ay milenge
Jibreel ke ustaad isi ghar may milenge
Is satha ke afraad isi ghar may milenge

Maqlooq ki baat aakhri sarhad nazar aaya
Jis fard ko dekha wo mohamed nazar aaya

Ashaab mukarram hani magar apni jagha par
Ghair apni jagah laqte jigar apni jagha par
Khaar apni jagah ghunchaye tar apni jagha par
Sang apni jagah laal-o-gohar apni jagha par

Pehlu may jo baitha ho usay dil nahi kehte
Rehro kabhi rehbar e manzil nahi kehte

Allah re izzo sharafe Bint e Risalat
Qandeel e haram sham e shabistane imamat
Rehmat jo Mohammed hain to ye para e rehmat
Woh kull e nabuwat hai to ye juzv e nabuwat

Aasaan kaho maarifat e khatm e rasul ko
Jo juzv ko na samjha ho wo kya samjhega kul ko

Mumkin nahi ummat ka qiyas aal-e-nabi par
Yeh log alag loog hain yeh ghar hay alag ghar
Is ghar kay to bacchay bhee badal datay hain aksar
Insan ki taqdeer farishtoon ka muqqadar

Rahib ko kaee lall isi ghar say milay hain
Fitrus ko par o bal isi ghar say milay hain

Share

Comments

comments

Tags: , , , , ,

Leave a Reply