Archive for the ‘POEtRY..’ Category

Zindagi Main To Sabhi Pyaar Kiyaa

April 27th, 2014, posted in LYRiCS
Share

Poet/Shayar: Qateel Shifai
Singer: Mehdi Hassan

Zindagii mein to sabhii pyaar kiyaa karte hain
Main tau mar kar bhii merii jaan tujhe chaahuungaa


Tuu milaa hai to ye ehsaas hu’aa hai mujhko
Ye merii umr muhabbat ke liye thoRii hai


Ek zaraa saa Gham-e-dauraan kaa bhii haq hai jis par
Main ne vo saans bhii tere liye rakh chhoRii hai


Tujh pe ho jaauungaa qurbaan tujhe chaahuungaa
Main tau mar kar bhii merii jaan tujhe chaahuungaa


Zindagii mein to sabhii pyaar kiyaa karte hain
Apne jazbaat mein naghmaat rachaane ke liye


Main ne dharkan kii tarah dil mein basaayaa hai tujhe
Main tasavvur bhii judaa’ii kaa bhalaa kaise karuun


Main ne qismat kii lakiiron se churaayaa hai tujhe
Pyaar kaa ban ke nigehbaan tujhe chaahuungaa


Main tau mar kar bhii merii jaan tujhe chaahuungaa
Zindagii mein to sabhii pyaar kiyaa karte hain


Terii har chaap se jalte hain khayaalon mein chiraag
Jab bhii tuu aaye jagaataa hu_aa jaaduu aaye


Tujhko chhuu luun to phir ai jaan-e-tamannaa mujhko
Der tak apne badan se terii Khushbuu aaye


Tuu bahaaron kaa hai unvaan tujhe chaahuungaa
Main tau mar kar bhii merii jaan tujhe chaahuungaa


Zindagii mein to sabhii pyaar kiyaa karte hain


Zindagi Main To Sabhi Pyaar Kiyaa ,Zindagi,Pyaar,piyar ,Poet,Shayar , Poet Qateel Shifai,Singer Mehdi Hassan,Qateel Shifai,Singer, Mehdi Hassan
Share

In The Dance Of Soul

April 21st, 2014, posted in Allama Iqbal, DAtEs iN a YeAR
Share

english translation,allama iqbal,iqbal,poetry,persian,urdu,shayari,pakistan

Share

Hasil Koun Hai Yea Jahan Kharaab By Jaun Elia

April 9th, 2014, posted in Jaun Elia
Share

Hasil Koun Hai Yea Jahan Kharaab By Jaun Elia,Jaun Elia,Jon Elia,poetry,poet,urdu,shayari,aliya,Jhon aliya, john

Share

Come Closer And Know That I Am You

April 8th, 2014, posted in LoVE, Rumi
Share

At a distance you only see my light.. Come closer and know that I am you….

rumi, Voice, world,love,come close,world

Share