Posts Tagged ‘imam hussian’

معنی ذبح عظیم آمد پسر

August 1st, 2022, posted in Muharram, POEtRY..
Share

آں امام عاشقاں پور بتول

سرو آزادے زبستان رسول

اللؔہ اللؔہ، باے بسم اللؔہ پدر

معنی ”ذبح عظیم“ آمد پسر

Share

Noha — Bahot Hi Sakht

November 18th, 2012, posted in Muharram
Share

Khuda ne jab malakul maut ko ye izn diya
ke roohe hazrate sarwar nikaal kar le aa
rahe khayaal ke shabbir ko na ho eeza
hussain pehle hi zaqmon se choor choor huwa
malak pukara ye mujhse na ho sakega khuda
mai kis tarha se nikaloo badan se jaane hussain
bahot hi saqt hai ya rab ye imtehane hussain
mai kis tarha se….
laga hai zaqme tabar beh raha hai sar se lahoo
bhare hai khoon may jaane rasool ke gaysoo
khareeb jake rakhun dil pe kis tarha khaboo
ke is lahoo may to hai fatema ke doodh ki boo
mai kis tarha se….

mai phir in aankhon pe dhaun sitam ye kya hai zaroor
bichar ke wo ali akbar se hogayi be-noor
nida ye aayi dahan se nikaal jaane huzoor
kaha dahan may to kante pade hai rabbe ghafoor
mai kis tarha se….

nida ye aayi ke gardan se khainch jaan inki
kaha mai kya karoon gardan pe chal rahi hai churi
churi pakad ke ye chillati hai koi bibi
na zibha kar mere bache ko mai dua dungi
mai kis tarha se….

nida ye aayi ke seene se khabz kar le jaan
kaha wo teeron se chalni hai ay mere rehman
abhi to maar ke barchi hata tha ek shaitan
aur ab to hai tahe zanon shimr ye quran
mai kis tarha se….

nida ye aayi ke mazloomiyat ke rutba shinaas
kamar se khaich le saabir ke jaan le vasvas
kaha malak ne tadap ke badardo hasrat o yaas
kamar to toot gayi jab se mar gaye abbas
mai kis tarha se….

falak se tab huwa roohul ameen ka ulme nuzoor
kaha pukaar ke moo dhamp lo baraye batool
pisar ki laash pe kholengi baal binte rasool
sada ye thi maluk-ul maut ki ba huzno malool
mai kis tarha se….

mutee-e-hukm hoo par fikr hai ye yazdan
har ek uzr hai zaqmi lagaun haath kahan
khuda pukara ye mushkil karenge hum aasan
na tu nikaal mere aashiqe ghareeb ki jaan
mai khud nikaal raha hoon badan se jaane hussain
ke khatm hone ko ab hai ye imtehane hussain

Share