Posts Tagged ‘Mehdi Hassan’

Ab Ke Hum Bichde To Shayad with English Translation

June 29th, 2014, posted in LYRiCS
Share

Ab kay hum bichday to shaayad kabhi khawabon may milein This time if we part, then we may meet in the dreams

Ab kay hum bichday to shaayad kabhi khawabon may milein
This time if we part, then we may meet in the dreams

Jis tarah sookhay huey phool kitabon mein milein
Like dry flowers that are found in books

Tuu khuda hai na mera ishq farishton jaisa
Neither you are God nor is my love like an angel

Dono insaan hain to kyon itnay hijaabon mein milein
If we both are human beings, then why should we meet in hiding

Ab kay hum bichday to shaayad kabhi khawabon may milein,
Now that we are parting our ways, may be we will meet in dreams

Ghum-e dunya bhi ghum-e yaar mein shamil kar lo
Why not add the sorrows of the world to the sorrows caused by my beloved

Nasha bartha hain sharabein jo sharaboon main milein
After all when the drinks are mixed, the intoxication increases

Ab kay hum bichday to shaayad kabhi khawabon may milein,
Now that we are parting our ways, may be we will meet in dreams

Ab na woh main hoon na tu hain na woh maazi hai `Faraaz’,
You and I are not the same, nor do we have the same destination Faraz

Jaisay do saayey tamana kay sehraon mein milein
It is like two shadows meeting in the desert of wishes

Ab kay hum bichday to shaayad kabhi khawabon may milein
Now that we are parting our ways, may be we will meet in dreams

Jis tarah sookhay huey phool kitabon mein milein
Like dry flowers that are found in books

Poet/Shayar  : Ahmed Faraz
Singer: Mehdi Hassan

Ab Ke Hum Bichde To Shayad With English Translation,Ab Ke Hum Bichde To Shayad, With English Translation,Ab Ke Hum Bichde To Shayad, English Translation,English ,Translation,Ahmed Faraz,Ahmed ,Faraz,Mehdi Hassan,Poet,singer,Poet Ahmed Faraz,Singer Mehdi Hassan,notebook

Ab Ke Hum Bichde To Shayad With English Translation,Ab Ke Hum Bichde To Shayad, With English Translation,Ab Ke Hum Bichde To Shayad, English Translation,English ,Translation,Ahmed Faraz,Ahmed ,Faraz,Mehdi Hassan,Poet,singer,Poet Ahmed Faraz,Singer Mehdi Hassan,

Share

Zindagi Main To Sabhi Pyaar Kiyaa

April 27th, 2014, posted in LYRiCS
Share

Poet/Shayar: Qateel Shifai
Singer: Mehdi Hassan

Zindagii mein to sabhii pyaar kiyaa karte hain
Main tau mar kar bhii merii jaan tujhe chaahuungaa


Tuu milaa hai to ye ehsaas hu’aa hai mujhko
Ye merii umr muhabbat ke liye thoRii hai


Ek zaraa saa Gham-e-dauraan kaa bhii haq hai jis par
Main ne vo saans bhii tere liye rakh chhoRii hai


Tujh pe ho jaauungaa qurbaan tujhe chaahuungaa
Main tau mar kar bhii merii jaan tujhe chaahuungaa


Zindagii mein to sabhii pyaar kiyaa karte hain
Apne jazbaat mein naghmaat rachaane ke liye


Main ne dharkan kii tarah dil mein basaayaa hai tujhe
Main tasavvur bhii judaa’ii kaa bhalaa kaise karuun


Main ne qismat kii lakiiron se churaayaa hai tujhe
Pyaar kaa ban ke nigehbaan tujhe chaahuungaa


Main tau mar kar bhii merii jaan tujhe chaahuungaa
Zindagii mein to sabhii pyaar kiyaa karte hain


Terii har chaap se jalte hain khayaalon mein chiraag
Jab bhii tuu aaye jagaataa hu_aa jaaduu aaye


Tujhko chhuu luun to phir ai jaan-e-tamannaa mujhko
Der tak apne badan se terii Khushbuu aaye


Tuu bahaaron kaa hai unvaan tujhe chaahuungaa
Main tau mar kar bhii merii jaan tujhe chaahuungaa


Zindagii mein to sabhii pyaar kiyaa karte hain


Zindagi Main To Sabhi Pyaar Kiyaa ,Zindagi,Pyaar,piyar ,Poet,Shayar , Poet Qateel Shifai,Singer Mehdi Hassan,Qateel Shifai,Singer, Mehdi Hassan
Share