Man kunto Maula, fa haza Ali un Maula !!
” to whom I am the master. Ali is the the Master. “
Posts Tagged ‘Nusrat Fateh Ali’
To Whom I am the master Ali is the the Master
October 15th, 2018, posted in Nusrat Fateh Ali Khan Songs, SufismHussain Hai Hussain Hai – Nabi Ka Noor-e-Aain Hai
November 25th, 2013, posted in Muharram, Nusrat Fateh Ali Khan Songs, SufismKhawaja Ghareeb Nawaz’s immortal verses on the status of Hazrat Imam Hussain (AS) :
Shah ast Hussain, Badshah ast Hussain
Deen ast Hussain, Deen Panah ast Hussain
Sardad na dad dast, dar dast-e-yazeed,
Haqaa key binaey La ila ast Hussain
And a rough translation :
Ruler is Hussain, Emperor is Hussain,
Faith is Hussain , guardian of faith is Hussain .
Offered his head and not the hand to Yazid.
Indeed, Hussain is the foundation of La-ilah
(the declaration that none but God is Absolute and Almighty)
——
Poet: Hafeez Jalandhari, the same gentleman who wrote Pakistan’s national anthem :
libaas hai phata hua, ghubaar mein ata hua
tamaam jism e naazneen, chida hua, kata hua
yeh kaun zeewaqaar hai, bala ka shahsawaar hai
ke hai hazaaron qaatilon, ke saamne data hua
yeh bil yaqeen Hussain (A.S.) hai,
Nabi(SAW) ka noorey ain hai
ke jiski eik zarb se, kamaal’e fann e harb se
kai shaqi girey huey, tarap rahe hain karb se
ghazab hai teighay do-sarr, ke eik eik waar par
uthi sadaa’e “alamaan”, zabaan e sharq o gharb se
yeh bil yaqeeN Hussain (A.S.) hai,
Nabi(SAW) ka noorey ain hai
yeh kaun haq parast hai, maey redha se mast hai
ke jiske saamn’e koi, buland hai na pust hai
udhar hazaar ghaat hai, magar ajeeb baat hai
ke eik se hazaarha ka hausla shikast hai
yeh bil yaqeen Hussain (A.S.) hai,
Nabi(SAW) ka noorey ain hai
aba bhi taar taar hai, to jism bhi figar hai
zameen bhi hai tapi hui, falak bhi shola baar hai
magar ye mard e teigh zann, ye saff shikan, falak figan
kamaal e sabr o tandehi se mahwe kaarzaar hai
yeh bil yaqeen Hussain (A.S.) hai,
Nabi(SAW) ka noorey ain hai
dilawari mein fard hai, bara hi sheir e mard hai
ke jiske dabdab’e se, dushmanon ka rung zard hai
habib e Mustafa(SAW) hai ye, mujaahid’e Khuda hai ye
jabhi to iske saamney, ye fauj gard bard hai
yeh bilyaqeen Hussain (A.S.) hai,
Nabi(SAW) ka noorey ain hai
udhar sipaah’e Shaam hai, hazaar inteqaam hai
udhar haiN dushmanaan’e deeN, idhar faqat Imam hai
magar ajeeb shaan hai, ghazab ki aan baan hai
ke jis taraf uthi hai teigh, bas Khuda ka naam hai
yeh bilyaqeen Hussain (A.S.) hai,
Nabi(SAW) ka noorey ain hai
Vocalize by : Nusrat Fateh Ali Khan.
Mast Nazron Se Allah Bachaaye – Lyrics English Translation
March 28th, 2013, posted in Art, GiRLs, LoVE, Nusrat Fateh Ali Khan Songsmast nazron se Allah bachaaye, maah-jamaalon se Allah bachaaye
har balaa sar pe aa jaaye lekin, husn-vaalon se Allah bachaaye
O God save us from the intoxicated glances! O God save us from the moon-faced ones
Let any affliction come upon us [but] God save us from the pretty ones !
in kii maasuumiyat par na jaanaa, in ke dhoke meN hargiz na aana
luuT lete haiN ye muskuraa kar, in kii chaaloN se Allah bachaaye
Don’t let their innocence fool you; don’t let them make you a fool
they rob with just a smile, O God save us from their spells !
bholii suurat hai baateN haiN bholii, muuNh meN kuch hai magar dil meN kuch hai
laakh chehraa sahii chaaNd jaisaa, dil ke kaaloN se Allah bachaaye
Innocent appearence and innocuous talk, but there is a difference between what they say and what they mean
though their face is like that of moon, O God save us from the schemes of their hearts !
dil meN hai khvaahish-e-huur-o-jannat aur zaahir meN shauq-e-ibaadat
bas hameN shaiKh jii aap jaise Allah vaalon se Allah bachaaye
In the hearts there is a desire for beautiful companions in heaven, but they show their love of prayers [to the world].
Now, from the likes of the abstinent, O God save us from these Godly ones !
in kii fitrat meN be-vafa’ii jaantii hai ye saarii Khudaii
acche acchoN ko dete haiN dhokhaa bhole bhaaloN se Allah bachaaye
In their nature is infielity, it is known by all and sundry
they beguile even the smart ones, O God save us from the innocuous ones !
mast nazroN se Allah bachaaye, maah-jamaaloN se Allah bachaaye
O God save us from the intoxicated glances! O God save us from the moon-faced ones!