Posts Tagged ‘Sufi’

How Can You Be The Creator

December 13th, 2013, posted in COMiCS, Islam, Islamic Teachings
Share

How Can You Be The Creator,Creator,Imam Jaffar,Imam,Muslims,Muslim,Islam,Sufi Comics,I am the Creator,sufi,comic

Share

Secerts Of Prayers Taught By Imam Jaffar Sadiq (A.S)

December 6th, 2013, posted in Islam, Islamic Teachings
Share

Secerts Of Prayers Taught By Imam Jaffar Sadiq (A.S),Secerts Of Prayers ,Taught By Imam Jaffar Sadiq (A.S),Secerts,Prayers ,Taught ,Imam Jaffar Sadiq (A.S),Imam Jaffar ,Imam ,Jaffar ,Islam,muslim,muslims,sufi,comic,sufi comic,

Share

Bekhud Kiye Dete Hain Andaaz-e-Hijabana

November 26th, 2013, posted in POEtRY.., Sufism
Share
Bekhud Kiye Dete Hain Andaaz-e-Hijabana,naat,islamic,poetry,poet,urdu,love, Lyrics,Rahat Fateh Ali khan,Qawwali
Bekhud kiye dete hain andaaz e hijabana
Aa dil main tujhay rakhloon aie jalwa e janana.

Kyun aankh milayee thi, kyoon aag lagayi thee
Kyun aag lagayee thi…
Aab rukh ko chupa baithay kar kay mujhay deewana.

Bekhud Kiye Dete Hain andaaz e hijabana
Aa dil main tujhay rakhloon aie jalwa e janana.

Kiya lutf ho mehshar mein main shikway kiye jaoon
Main shikway kiye jaoon…
Woh haskay kahay jayein deewana hai dewana.

Bekhud kiye dete hain andaaz e hijabana
Aa dil main tujhay rakhloon aie jalwa e janana.

Saaki teray aatay hee yeh josh hai masti ka
Yeh josh hai masti ka…
Sheshay pay gira sheesha pemanay paymana.

Bekhud kiye dete hain andaaz e hijabana
Aa dil main tujhay rakhloon aie jalwa e janana.

Maloom nahin Bedam mein kon houn aur kiya hoon
Mein kon houn aur kiya hoon…
Youn apnoon main apna houn baiganoon mein baygana.

Bekhud kiye dete hain andaaz e hijabana
Aa dil main tujhay rakhloon aie jalwa e janana.
Bekhud Kiye Dete Hain Andaaz-e-Hijabana,naat,islamic,poetry,poet,urdu,love, Lyrics,Rahat Fateh Ali khan,Qawwali
Share

Hussain Hai Hussain Hai – Nabi Ka Noor-e-Aain Hai

November 25th, 2013, posted in Muharram, Nusrat Fateh Ali Khan Songs, Sufism
Share

Khawaja Ghareeb Nawaz’s immortal verses on the status of Hazrat Imam Hussain (AS) :

Shah ast Hussain, Badshah ast Hussain
Deen ast Hussain, Deen Panah ast Hussain
Sardad na dad dast, dar dast-e-yazeed,
Haqaa key binaey La ila ast Hussain

And a rough translation :

Ruler is Hussain, Emperor is Hussain,
Faith is Hussain , guardian of faith is Hussain .
Offered his head and not the hand to Yazid.
Indeed, Hussain is the foundation of La-ilah
(the declaration that none but God is Absolute and Almighty)

——

Poet: Hafeez Jalandhari, the same gentleman who wrote Pakistan’s national anthem :

libaas hai phata hua, ghubaar mein ata hua
tamaam jism e naazneen, chida hua, kata hua
yeh kaun zeewaqaar hai, bala ka shahsawaar hai
ke hai hazaaron qaatilon, ke saamne data hua

yeh bil yaqeen Hussain (A.S.) hai,
Nabi(SAW) ka noorey ain hai

ke jiski eik zarb se, kamaal’e fann e harb se
kai shaqi girey huey, tarap rahe hain karb se
ghazab hai teighay do-sarr, ke eik eik waar par
uthi sadaa’e “alamaan”, zabaan e sharq o gharb se

yeh bil yaqeeN Hussain (A.S.) hai,
Nabi(SAW) ka noorey ain hai

yeh kaun haq parast hai, maey redha se mast hai
ke jiske saamn’e koi, buland hai na pust hai
udhar hazaar ghaat hai, magar ajeeb baat hai
ke eik se hazaarha ka hausla shikast hai

yeh bil yaqeen Hussain (A.S.) hai,
Nabi(SAW) ka noorey ain hai

aba bhi taar taar hai, to jism bhi figar hai
zameen bhi hai tapi hui, falak bhi shola baar hai
magar ye mard e teigh zann, ye saff shikan, falak figan
kamaal e sabr o tandehi se mahwe kaarzaar hai

yeh bil yaqeen Hussain (A.S.) hai,
Nabi(SAW) ka noorey ain hai

dilawari mein fard hai, bara hi sheir e mard hai
ke jiske dabdab’e se, dushmanon ka rung zard hai
habib e Mustafa(SAW) hai ye, mujaahid’e Khuda hai ye
jabhi to iske saamney, ye fauj gard bard hai

yeh bilyaqeen Hussain (A.S.) hai,
Nabi(SAW) ka noorey ain hai

udhar sipaah’e Shaam hai, hazaar inteqaam hai
udhar haiN dushmanaan’e deeN, idhar faqat Imam hai
magar ajeeb shaan hai, ghazab ki aan baan hai
ke jis taraf uthi hai teigh, bas Khuda ka naam hai

yeh bilyaqeen Hussain (A.S.) hai,
Nabi(SAW) ka noorey ain hai

Vocalize by : Nusrat Fateh Ali Khan.

Hussain Hai Hussain Hai - Nabi Ka Noor-e-Aain Hai ,Hussain Hai Hussain Hai,Nabi Ka Noor-e-Aain Hai ,Hussain Hai,whoIsHussian,WhoIsHussian,Who is Hussian,Imam Hussain,Islam,Karbala,Mankabaat,poetry,sufi,islam,muslims,muslim,Poet: Hafeez Jalandhari,Poet,Hafeez Jalandhari,Pakistan's national anthem,national anthem,Pakistan,Khawaja Ghareeb Nawaz’s immortal verses,Khawaja Ghareeb Nawaz, immortal verses,verses,nusrat fateh ali khan,khan shahab,nusrat fateh ali ,lyrics

Share

Saaqi Pila Kaye Teray Haath Se Mastanaa Baanou

October 16th, 2013, posted in Bayaam Shah Warsi
Share

deewan-e-deam, Kalam-e-Bedam,Kalam,Bedam,sufi,sufisim

Share