Posts Tagged ‘Imam Hussain’

Syeda Umme Salma (RA) About Dead Of Imam Hussain

November 4th, 2014, posted in Muharram
Share
Imam Tabrani ne Syeda Umme Salma (RA) se rivayat bayan karte hein , Syeda farmati hein ! 

Mein ne Jinoon ko suna hai k wo Hussain ibne Ali (AS) k qatl par noha kar rahe hein
Moajjam Al Kabeer ,H:2867,2862 Majma al Zavaied 199:9
————————————————————————————————-
Imam tabrani ne abu qabeel se rivayat kia hai k :

Jab syedna Hussain ko shaheed kia gaya tou sooraj ko shadeed grehen lag gaya hatta k dopaher k waqt taarey namoodar honey lagey yahan tak k inhein itmeenan honey laga k ye din hai ya raaat hai
Majma al Zavaied 197:9 Mo’ajjam Alkabeer ,H:2838
—————————————————————————————–
Imam tabrani ne moajjam Al kabeer mein jameel bin ziyad se rivayat ki hai k unhoon ne kaha :

Jab Hussain AS ko shaheed kia gaya tou Aasman surkh ho gaya

Majma Al Zavaied , 197:9 , Maojjam Al kabeer,H: 2837

—————————————————————————————-
Eisa bin haris al kandi se marvi hai k :

Jab Imam Hussain ko shaheed kar dia gaya tou ham saat din tak thehre rahe jab ham asr ki nimaz parhte tou ham deevaron k kinaron se sooraj ki taraf dekhte tou goya wo zard rang ki chadrein mehsoos hota aur ham sitaron ki taraf dekhte in mein baz,baz se takrate.
Moajjam Al Kabeer , H:2839

———————————————————————-

Imam Tabrani ne Moajjam Al Kabeer mein Mohammad bin Sireen se rivayat ki hai ,Farmatey hein !

Hazrat imam Hussain ki shahadat k waqt aasman par surkhi chaai rahi
Moajjam Al Kabeer , H:2840 Majma Al Zavaied 197:9
———————————————————————————————
Imam Tabrani se rivayat hai k :

Jab Hazrat Hussain (AS) ko shaheed kar diya gaya tou Bait ul Muqaddas ka jo pathar bhi uthaya jata iss k neeche taza khoon paya gaya
Moajjam Al Kabeer H :2835
Issi qism ki aik aur rivayat b hai k shaam mein jo koi b pathar uthaya jata uss se bhi pani nikalta aur iss rivayat k ravi bhi Imam tabrani hein…
—————————————————————————————————

Ab tamam log ye parh kar fesla karein k Jab Poori kainat , Zameen o Aasman khoon k aansu ro raha hai , taarey apas mein takra rahe hein , hatta k jin b noha kuna’n hain Hazrat e Hussain ki shahadat par ….Ab Gham e Hussain par ungli uthane wale aik dafa soch k lein Rasool khud sar e anwar aur daarhi mubarak mein khaak daley hazrat umme Salma (RA) k khaab mein aatey hein aur sogwar hein , tou gham e hussain (AS) par ungli uthane wale goya toheen e Rasool kar rahe hein !!!!!!!!

Imam Tabrani Ahle Sunnat k mashhoor Imam e Hadees hein…Ye Tamam Rivayat kutub e Ahle sunnat se li gai hein , Aksar k ravi khud Imam Tabrani hein —

Syeda Umme Salma (RA) About Dead Of Imam Hussain,Syeda Umme Salma ,About Dead Of Imam Hussain,About Dead , Imam Hussain,Hussain,Imam Tabrani,Muharram,Ashura,Karbala,Islam,Muslims,

**************************************************************************************************************
Note :
Please do confirm things by yourself as well.
This  is for spreading clean islamic knowledge.
Please do not insult any religion or society.
If you have any questions and quires feel free to ask.
All rules are applied here regarding blog , website etc. If  you have been reported or informed about any ilegal or wrong
activity.Please inform the admins by sending them private messages.
*******************************************************************************************************************

Share

Hussain Hai Hussain Hai – Nabi Ka Noor-e-Aain Hai

November 25th, 2013, posted in Muharram, Nusrat Fateh Ali Khan Songs, Sufism
Share

Khawaja Ghareeb Nawaz’s immortal verses on the status of Hazrat Imam Hussain (AS) :

Shah ast Hussain, Badshah ast Hussain
Deen ast Hussain, Deen Panah ast Hussain
Sardad na dad dast, dar dast-e-yazeed,
Haqaa key binaey La ila ast Hussain

And a rough translation :

Ruler is Hussain, Emperor is Hussain,
Faith is Hussain , guardian of faith is Hussain .
Offered his head and not the hand to Yazid.
Indeed, Hussain is the foundation of La-ilah
(the declaration that none but God is Absolute and Almighty)

——

Poet: Hafeez Jalandhari, the same gentleman who wrote Pakistan’s national anthem :

libaas hai phata hua, ghubaar mein ata hua
tamaam jism e naazneen, chida hua, kata hua
yeh kaun zeewaqaar hai, bala ka shahsawaar hai
ke hai hazaaron qaatilon, ke saamne data hua

yeh bil yaqeen Hussain (A.S.) hai,
Nabi(SAW) ka noorey ain hai

ke jiski eik zarb se, kamaal’e fann e harb se
kai shaqi girey huey, tarap rahe hain karb se
ghazab hai teighay do-sarr, ke eik eik waar par
uthi sadaa’e “alamaan”, zabaan e sharq o gharb se

yeh bil yaqeeN Hussain (A.S.) hai,
Nabi(SAW) ka noorey ain hai

yeh kaun haq parast hai, maey redha se mast hai
ke jiske saamn’e koi, buland hai na pust hai
udhar hazaar ghaat hai, magar ajeeb baat hai
ke eik se hazaarha ka hausla shikast hai

yeh bil yaqeen Hussain (A.S.) hai,
Nabi(SAW) ka noorey ain hai

aba bhi taar taar hai, to jism bhi figar hai
zameen bhi hai tapi hui, falak bhi shola baar hai
magar ye mard e teigh zann, ye saff shikan, falak figan
kamaal e sabr o tandehi se mahwe kaarzaar hai

yeh bil yaqeen Hussain (A.S.) hai,
Nabi(SAW) ka noorey ain hai

dilawari mein fard hai, bara hi sheir e mard hai
ke jiske dabdab’e se, dushmanon ka rung zard hai
habib e Mustafa(SAW) hai ye, mujaahid’e Khuda hai ye
jabhi to iske saamney, ye fauj gard bard hai

yeh bilyaqeen Hussain (A.S.) hai,
Nabi(SAW) ka noorey ain hai

udhar sipaah’e Shaam hai, hazaar inteqaam hai
udhar haiN dushmanaan’e deeN, idhar faqat Imam hai
magar ajeeb shaan hai, ghazab ki aan baan hai
ke jis taraf uthi hai teigh, bas Khuda ka naam hai

yeh bilyaqeen Hussain (A.S.) hai,
Nabi(SAW) ka noorey ain hai

Vocalize by : Nusrat Fateh Ali Khan.

Hussain Hai Hussain Hai - Nabi Ka Noor-e-Aain Hai ,Hussain Hai Hussain Hai,Nabi Ka Noor-e-Aain Hai ,Hussain Hai,whoIsHussian,WhoIsHussian,Who is Hussian,Imam Hussain,Islam,Karbala,Mankabaat,poetry,sufi,islam,muslims,muslim,Poet: Hafeez Jalandhari,Poet,Hafeez Jalandhari,Pakistan's national anthem,national anthem,Pakistan,Khawaja Ghareeb Nawaz’s immortal verses,Khawaja Ghareeb Nawaz, immortal verses,verses,nusrat fateh ali khan,khan shahab,nusrat fateh ali ,lyrics

Share

The Tragic Scene Of The Death

November 19th, 2013, posted in Muharram, Words
Share

Tragic Scene ,Tragic ,Scene ,Edward Gibbon ( English History & Member of Parliament ) ,Edward Gibbon ,English History ,Member of Parliament,Edward, Gibbon ,English, History ,About Imam Hussain,english, english novelist, generous, hope, humanity, hussain ibn Ali, Imam Hussain, Imam Hussain.whoishussian, islam, Karbala, mankind, muslim, muslims, novelist, purely for Islam, sacrificed, sacrificed purely for Islam, worldly desires

Share

Allama Iqbal On Karbala

November 18th, 2013, posted in Allama Iqbal, Muharram
Share

Hazrat Allama Iqbal (r) on Imam Hussain (as),Allama, Allama Iqbal, Imam Hussain, Iqbal, islam, Karbala, Muharram, who is hussain, whoishussain,muslims,muslim,muharram,Allama Iqbal On Karbala,Allama Iqbal On ,Karbala

Share

Salam Ya Imam Hussain

November 17th, 2013, posted in Muharram
Share

Salam Ya Imam Hussain, humanity, hussain ibn Ali, Imam Hussain, Imam hussain (A.S), Imam Hussain.whoishussian, islam, Karbala, mankind, muslim, muslims,

Share