Tonight I Can Write
Tonight I can write the saddest lines.
|
Tonight I can write the saddest lines.
|
Dar khuor e qehr o ghazab jab koi hum sa na hua..
Bandagi mein bhi wo azada o khudbeen hain..ke hum..
Ulte phir aaye dar e kaaba agar waa na hua…
Sab ko maqbool hai dawa teri yaktaai ka..
Robarou koi but e aaina e seema na hua…
Kam nahi naazish e humnai chashm e khuban..
Tera beemar, bura kia hai, gar acha na hua…
Seene ka daagh hai wo nala ke lab tak na gaya..
Khaak ka rizq hai wo qatra ke darya na hua..
Naam ka mere hai jo dukh ke kisi ko na mila..
Kaam mein mere hai jo fitna ke barpa na hua…
Har bun e mou se dam e zikr na tapke khunanaab..
Hamza ka qissa hua, ishq ka charcha na hua…
Qatre mein dajla dikhai na de juzo mei kul..
Khel larkon ka hua, deeda e beena na hua…
Thi khabar garm ke Ghalib ke urenge purze..
Dekhne hum bhi gaye the pa tamasha na hua…
ishq mujhko naheeN, wehshat hee sahee..
meree wehshat, teree shohrat hee sahee..
qata’a keeje na ta’alluq ham se..
kuchch naheeN hai to adaavat hee sahee..
mere hone meiN hai kya ruswaaee..
ei woh majlis naheeN KHalwat hee sahee..
ham bhee dushman to naheeN haiN apne..
GHair ko tujh se mohabbat hee sahee..
apnee hastee hee se ho, jo kuchch ho..
aagahee gar naheeN GHaflat hee sahee..
umr harchand ke hai barq-e-KHiraam..
dil ke KHooN karne ki fursat hee sahee..
ham koee tarq-e-wafa karte haiN..
na sahee ishq, museebat hee sahee..
kuchch to de ‘ei falak-e-na_insaaf..
aah-o-fariyaad ki ruKHasat hee sahee..
ham bhee tasleem kee KHoo Daalenge..
be_niyaazee teree ` aadat hee sahe..
yaar se cheDa chalee jaay, ‘Asad’..
gar nahee wasl to hasrat hee sahee..
*******************************************************************************************************
(You say) It is not love, it is madness
My madness may be the cause of your fame
Sever not my relationship with you
If nothing then be my enemy
What is the meaning of notoriety in meeting me
If not in public court meet me alone
I am not my own enemy
So what if the stranger is in love with you
Whatever you are, it is due to your own being
If this not known then it is ignorance
Life though fleets like a lightening flash
Yet it is abundant Time to be in love
I do not want debate on the sustenance of love
Be it not love but another dilemma
Give something O biased One
At least the sanction to cry and plea
I will perpetuate the rituals
Even if cruelty be your habit
Teasing and cajoling the beloved cannot leave ‘Asad‘
Even if there is no union and only the desire remains