Posts Tagged ‘Nusrat Fateh Ali’

To Whom I am the master Ali is the the Master

October 15th, 2018, posted in Nusrat Fateh Ali Khan Songs, Sufism
Share

Man kunto Maula, fa haza Ali un Maula,to whom I am the master, Ali is the the Master,imam ali,hazrat ali,nafak,

Man kunto Maula, fa haza Ali un Maula !!
to whom I am the master. Ali is the the Master. ❤

Share

Basad Talaash Na Ab Kuch Vusat-e-Nazar Se Milaa

April 22nd, 2016, posted in Nusrat Fateh Ali Khan Songs, Sufism
Share

islam, Khaibar, khan, Khan shahab, lion of ALLAH, lion of GOD, malang, Mohammad (P.B.U.H), muslim, muslims, Nusrat Fateh Ali, Nusrat Fateh Ali Khan, slave of Ali, Sufi, sufisim

 

Sometimes the wall shakes, sometimes trembles the door
upon hearing the name of Ali, the fort of Khaibar trembles even now.

Note: During the battle for the Fort of Khaibar, Ali rooted out the heavy door of the fort and used it as his shield.

Share

Hussain Hai Hussain Hai – Nabi Ka Noor-e-Aain Hai

November 25th, 2013, posted in Muharram, Nusrat Fateh Ali Khan Songs, Sufism
Share

Khawaja Ghareeb Nawaz’s immortal verses on the status of Hazrat Imam Hussain (AS) :

Shah ast Hussain, Badshah ast Hussain
Deen ast Hussain, Deen Panah ast Hussain
Sardad na dad dast, dar dast-e-yazeed,
Haqaa key binaey La ila ast Hussain

And a rough translation :

Ruler is Hussain, Emperor is Hussain,
Faith is Hussain , guardian of faith is Hussain .
Offered his head and not the hand to Yazid.
Indeed, Hussain is the foundation of La-ilah
(the declaration that none but God is Absolute and Almighty)

——

Poet: Hafeez Jalandhari, the same gentleman who wrote Pakistan’s national anthem :

libaas hai phata hua, ghubaar mein ata hua
tamaam jism e naazneen, chida hua, kata hua
yeh kaun zeewaqaar hai, bala ka shahsawaar hai
ke hai hazaaron qaatilon, ke saamne data hua

yeh bil yaqeen Hussain (A.S.) hai,
Nabi(SAW) ka noorey ain hai

ke jiski eik zarb se, kamaal’e fann e harb se
kai shaqi girey huey, tarap rahe hain karb se
ghazab hai teighay do-sarr, ke eik eik waar par
uthi sadaa’e “alamaan”, zabaan e sharq o gharb se

yeh bil yaqeeN Hussain (A.S.) hai,
Nabi(SAW) ka noorey ain hai

yeh kaun haq parast hai, maey redha se mast hai
ke jiske saamn’e koi, buland hai na pust hai
udhar hazaar ghaat hai, magar ajeeb baat hai
ke eik se hazaarha ka hausla shikast hai

yeh bil yaqeen Hussain (A.S.) hai,
Nabi(SAW) ka noorey ain hai

aba bhi taar taar hai, to jism bhi figar hai
zameen bhi hai tapi hui, falak bhi shola baar hai
magar ye mard e teigh zann, ye saff shikan, falak figan
kamaal e sabr o tandehi se mahwe kaarzaar hai

yeh bil yaqeen Hussain (A.S.) hai,
Nabi(SAW) ka noorey ain hai

dilawari mein fard hai, bara hi sheir e mard hai
ke jiske dabdab’e se, dushmanon ka rung zard hai
habib e Mustafa(SAW) hai ye, mujaahid’e Khuda hai ye
jabhi to iske saamney, ye fauj gard bard hai

yeh bilyaqeen Hussain (A.S.) hai,
Nabi(SAW) ka noorey ain hai

udhar sipaah’e Shaam hai, hazaar inteqaam hai
udhar haiN dushmanaan’e deeN, idhar faqat Imam hai
magar ajeeb shaan hai, ghazab ki aan baan hai
ke jis taraf uthi hai teigh, bas Khuda ka naam hai

yeh bilyaqeen Hussain (A.S.) hai,
Nabi(SAW) ka noorey ain hai

Vocalize by : Nusrat Fateh Ali Khan.

Hussain Hai Hussain Hai - Nabi Ka Noor-e-Aain Hai ,Hussain Hai Hussain Hai,Nabi Ka Noor-e-Aain Hai ,Hussain Hai,whoIsHussian,WhoIsHussian,Who is Hussian,Imam Hussain,Islam,Karbala,Mankabaat,poetry,sufi,islam,muslims,muslim,Poet: Hafeez Jalandhari,Poet,Hafeez Jalandhari,Pakistan's national anthem,national anthem,Pakistan,Khawaja Ghareeb Nawaz’s immortal verses,Khawaja Ghareeb Nawaz, immortal verses,verses,nusrat fateh ali khan,khan shahab,nusrat fateh ali ,lyrics

Share

Haq Ali Ali Ali Maula Ali Ali -Lyrics and Translation

August 16th, 2013, posted in Nusrat Fateh Ali Khan Songs, Sufism
Share

slave of Ali,lion of ALLAH,lion of GOD,Khaibar,islam,muslims,muslim,Mohammad (P.B.U.H),sufisim,sufi,malang,Nusrat Fateh Ali Khan,Nusrat Fateh Ali, Khan,Khan shahab

Nusrat Fateh Ali Khan (1948-1997) was a great Peaceful Warrior. A singer from Pakistan that went on to become the world’s greatest singer of Qawwali, a boisterous and passionate music of mystical Islam. His name is revered the world over from Bollywood to Hollywood.

Nusrat Fateh Ali Khan is considered one of the greatest singers ever recorded. He holds the Guinness world record for the most recordings of any Qawwali artist and has recorded 125 albums. He was gifted with a six-octave vocal range and during his performances it was very common for him to sing at a high-level of intensity for several hours. One of my favorites is his live performance in Paris – the entire performance spans 5 CDs.

His family have been musicians and singers of Qawwali (Islamic devotional music) for six centuries. Nusrat’s father, himself a singer, died in 1964 when Nusrat was about 16. His father had wanted his son to become a doctor because Qawwali is a very challenging style to learn. Ten days after his father’s death, Nusrat had a dream where his father came to him and told him to sing, touching his throat. Nusrat woke up singing, and gave his first public performance at his father’s funeral ceremony forty days later.

His first major hit in Pakistan was the Qawwali, Haq Ali Ali which was performed in a traditional style and with traditional instruments (Harmonium, Tabla, etc). The song featured restrained use of Nusrat’s sargam improvisations and attracted a large number of listeners.

Here is the beautiful heart rendering Qawwali,” Haq Ali Ali dedicated to Hazrat Ali (AS) by Ustad Nusrat Fateh Ali Khan” the poetry is sheer divine ecstasy.

********************************************************************************

slave of Ali,lion of ALLAH,lion of GOD,Khaibar,islam,muslims,muslim,Mohammad (P.B.U.H),sufisim,sufi,malang,Nusrat Fateh Ali Khan,Nusrat Fateh Ali, Khan,Khan shahab

Lyrics and Translat Aliion of Haq Ali Ali by Nusrat Fateh Khan.

Ali imaam-e-manasto manam Ghulaam-e-Ali
hazaar jaan-e-giraamii fidaa-e-naam-e-Ali

Ali is the master of all, I am the slave of Ali
a thousand lives are to be sacrificed for Ali

Haidariam qalandaram mastam
bandaa-e-Murtaza Ali hastam
peshvaa-e-tamaam virdaaram
ke sage kuu-e-sher-e-yazdaanam

I belong to the Lion of God
I am an intoxicated ecstatic wandering dervish
I am a slave of Ali the Chosen One
I am the leader of all the drunkards [mystical intoxication]
As I am a dog in the street of the Lion of God [Sher-e Yazdaan is Persian for Lion of God].

kabhii diivaar hiltii hai, kabhii dar kaaNp jaataa hai
Ali kaa naam sun kar ab bhii Khaibar kaaNp jaataa hai

Sometimes the wall shakes, sometimes trembles the door
upon hearing the name of Ali, the fort of Khaibar trembles even now.

Note: During the battle for the Fort of Khaibar, Ali rooted out the heavy door of the fort and used it as his shield.

shaah-e-mardaaN Ali
Ali Ali Ali
Ali Maula Ali

King of the brave men, Ali
Ali Ali Ali
Ali, [my] master Ali.

patthar pe alam deen ka gaaRaa jisne
lalkaar kar Marhab ko pichaaRaa jisne

[One] who implanted the flag of faith on the rocks
[One] who challenged Marhab and defeated him.
Note: In the same war, Ali challenged and defeated the celebrated warrior Marhab.

Haq
Ali Ali Ali
Ali Maula Ali

[The] truth!
Ali Ali Ali
Ali, [my] master Ali

jap le jap le mere manvaa
yahii naam sacchaa hai pyaare
yahii naam tere sab dukh haare
isii naam kii barkat ne diye raaz-e-haqiiqat khol

my heart! chant this
[as] this is the name that is true.
This is the name that removes suffering
[and] the auspiciousness of this name opened the secrets of being.

shaah-e-mardaaN Ali
la fataa illah Ali
sher-e-yazdaaN Ali

King of the brave, Ali.
There is no one except Ali
[and] the lion of God is Ali.

tan par Ali, Ali ho zubaaN par Al Ali
mar jauuN to kafan par bhii likhna Ali Ali

My body chants Ali, so does my tongue
[and] when I die, then write Ali on my shroud.

baGhair hubb-e-Ali mudd’aa nahiiN miltaa
ibaadatoN kaa bhii hargiz silaa nahiiN miltaa
Khudaa ke bandoN suno Ghaur se Khudaa kii qasam
jise Ali nahiiN milte use Khudaa nahiiN miltaa

Without the love of Ali, desire is not fulfilled
not even the prayers are answered.
O! slaves of God listen carefully, by God!
One who does not realizes Ali does not realize God.

basad talaash na ab kuch vus’at-e-nazar se milaa
nishaan-e-manzil-e-maqsuud raahbar se milaa
Ali mile to mile Khaana-e-Khudaa saa hameN
Khudaa ko dhuuNdha to vo bhi Ali ke ghar se milaa

Don’t search for anything now, match the eternal search
match the footprints of the desired destination with guide
to get Ali is like getting a house of God
searching for God too, we found Him in Ali’s house.

diid Haider kii ibaadat, hai ye farmaan-e-nabii
hai Ali ruuh-e-nabii, jism-e-nabii, jaan-e-nabii
gul-e-tathiir Ali
haq kii shamshiir Ali
piiroN ke piir Ali

The sight of Ali in itself is prayer, so said the Prophet
Ali is the soul, body and life of the Prophet
Ali is the purified flower
Ali is the sword of the truth
Ali is the saint of the saints.

dast-e-ilaa kyuuN na ho sher-e-Khudaa Ali
maqsuud har ataa hai shah-e-laa-fataa Ali
jis tarah ek zaat-e-Muhammad hai be-misaal
paidaa hu’aa na hogaa koie duusraa Ali
“Bedam” yahii to paaNch haiN maqsuud-e-qaaynaat
Khairunnisaa, Hasan, Hussain, Mustafaa, Ali

At the door of god why not be like the Lion of God.
Every intention has a reward, King of the Victorious is Ali
Like the progeny of Muhammad is unique and unmatchable
There is none born nor ever will, like Ali
These five are indeed the reason of creation;
Khairunnisaa (Fatima, prophet’s daughter), Hasan, Hussain (Ali’s sons), Mustafa (Prophet Muhammad), Ali

Haq
Ali Ali Ali
Ali Maula Ali

[The] truth!
Ali Ali Ali
Ali, [my] master Ali

slave of Ali,lion of ALLAH,lion of GOD,Khaibar,islam,muslims,muslim,Mohammad (P.B.U.H),sufisim,sufi,malang,Nusrat Fateh Ali Khan,Nusrat Fateh Ali, Khan,Khan shahab

Share

Mast Nazron Se Allah Bachaaye – Lyrics English Translation

March 28th, 2013, posted in Art, GiRLs, LoVE, Nusrat Fateh Ali Khan Songs
Share

Magical Eyes ,Magical, Eyes

mast nazron se Allah bachaaye, maah-jamaalon se Allah bachaaye
har balaa sar pe aa jaaye lekin, husn-vaalon se Allah bachaaye

O God save us from the intoxicated glances! O God save us from the moon-faced ones
Let any affliction come upon us [but] God save us from the pretty ones !

in kii maasuumiyat par na jaanaa, in ke dhoke meN hargiz na aana
luuT lete haiN ye muskuraa kar, in kii chaaloN se Allah bachaaye

Don’t let their innocence fool you; don’t let them make you a fool
they rob with just a smile, O God save us from their spells !

bholii suurat hai baateN haiN bholii, muuNh meN kuch hai magar dil meN kuch hai
laakh chehraa sahii chaaNd jaisaa, dil ke kaaloN se Allah bachaaye

Innocent appearence and innocuous talk, but there is a difference between what they say and what they mean
though their face is like that of moon, O God save us from the schemes of their hearts !

dil meN hai khvaahish-e-huur-o-jannat aur zaahir meN shauq-e-ibaadat
bas hameN shaiKh jii aap jaise Allah vaalon se Allah bachaaye

In the hearts there is a desire for beautiful companions in heaven, but they show their love of prayers [to the world].
Now, from the likes of the abstinent, O God save us from these Godly ones !

in kii fitrat meN be-vafa’ii jaantii hai ye saarii Khudaii
acche acchoN ko dete haiN dhokhaa bhole bhaaloN se Allah bachaaye

In their nature is infielity, it is known by all and sundry
they beguile even the smart ones, O God save us from the innocuous ones !

mast nazroN se Allah bachaaye, maah-jamaaloN se Allah bachaaye
O God save us from the intoxicated glances! O God save us from the moon-faced ones!

Mast Nazron Se Allah Bachaaye - Lyrics English Translation,Nusrat Fateh Ali, Nusrat Fateh Ali Khan,

Share