
Dil na’umeed to nahi.. na’kaam hi to hai
Lambi hai gham ki shaam.. magar shaam hi to hai


Wafa, Ikhlas, Qurbani, Muhabbat
Ab In Lafzon Ka Peecha Kyon Karein Hum
Hamari Hi Tamanna Kyon Karo Tum
Tumhari Hi Tamanna Kyon Karein Hum
Kiya Tha Ahd Jab Lamhon Mein Hum Ne
To Saari Umr Aefa Kyon Karein Hum
Nahin Duniya Ko Jab Parwah Hamari
To Phir Duniya Ki Parwah Kyon Karein Hum
Pari Rahney Do Insanon Ki Lashein
Zameen Ka Bojh Halka Kyon Karein Hum
Yeh Basti Hai Musalmanon Ki Basti
Yahan Kaar-E-Maseeha Kyon Karein Hum
—————————

Shayad By Jaun Eliya on Pg. 125

tumhārā hijr manā luuñ agar ijāzat ho
maiñ dil kisī se lagā luuñ agar ijāzat ho
tumhāre baad bhalā kyā haiñ vaada-o-paimāñ
bas apnā waqt gañvā luoñ agar ijāzat ho
tumhāre hijr kī shab-hā-e-kār meñ jānāñ
koī charāġh jalā luuñ agar ijāzat ho
junūñ vahī hai vahī maiñ magar hai shahr nayā
yahāñ bhī shor machā luuñ agar ijāzat ho
kise hai ḳhvāhish-e-marham-garī magar phir bhī
maiñ apne zaḳhm dikhā luuñ agar ijāzat ho
tumhārī yaad meñ jiine kī aarzū hai abhī
kuch apnā haal sambhālūñ agar ijāzat ho
