Aah ko chahiye ek umar asar hone tak
Kaun jeeta hai teri zulf k sar hone tak
Damm har mauj mein hai, halqa-e-sadkam-e-nahang
Dekhen kya guzare hai qatre pe gauhar hone tak
Ashiqi sabr-talab aur tamanna betab
Dil ka kya rang karun khun-e-jigar hone tak
Hum ne mana k tagahful na karoge lekin
Khak ho jayenge ham tum ko khabar hone tak
~: Mirza Ghalib :~